hua zahir KHat-e-ru-e-nigar aahista-ahista
ki jyun gulshan mein aati hai bahaar aahista-ahista
kiya hun rafta rafta ram us ki chashm-e-wehsi kun
ki jyun aahu kun karte hain shikar aahista-ahista
jo apne tan kun misl-e-juebar awwal kiya pani
hua us sarw-qad sun ham-kanar aahista-ahista
barang-e-qatra-e-simab mere dil ki jumbish sun
hua hai dil sanam ka be-qarar aahista-ahista
use kahna baja hai ishq ke gulzar ka bulbul
jo gul-ruyan mein paya e'tibar aahista-ahista
mera dil ashk ho pahuncha hai kuche mein sirijan ke
gaya kabe mein ye kashti-sawar aahista-ahista
'wali' mat hasidan ki baat sun dil kun mukaddar kar
ki aaKHir dil sun jawega ghubar aahista-ahista
Ghazal
Hua zahir KHat-e-ru-e-nigar aahista-ahista
Wali Mohammad Wali