اردو हिंदी
Hua raushan dam-e-KHurshid se phir rang pani ka | Shaahi Shayari
hua raushan dam-e-KHurshid se phir rang pani ka

Ghazal

Hua raushan dam-e-KHurshid se phir rang pani ka

Ghulam Husain Sajid

;

hua raushan dam-e-KHurshid se phir rang pani ka
damak uTTha hai mere aaine par zang pani ka

muqayyad rang khilte hon kisi billor se jaise
khula is tarah mere KHwab par arzang pani ka

kisi anjaan KHushbu se tabiat sair hai us ki
agarche qafiya kuchh rose se hai tang pani ka

satata hai jo dasht-e-na-muradi ke asiron ko
wo tara us hasin ke samne hai dang pani ka

bahut hi yaad aata hai koi bachhDa hua mujh ko
kabhi jab samna karta hun shoKH-o-shang pani ka

abhi fursat nahin hai kar-e-duniya mein ulajhne ki
magar tabdil kar sakta hun main bhi Dhang pani ka

bahut din se main 'sajid' darmiyan hun apne pyaron ke
ki ThanDa paD chuka hai ab mahaz-e-jang pani ka