hua nahin hai abhi munharif zaban se wo
sitare toD ke laega aasman se wo
na hum ko par utara na aap hi utra
lipaT ke baiTha hai patwar o baadban se wo
hamari KHair hai aadi hain dhup sahne ke hum
hua hai aap bhi mahrum saeban se wo
tamam bazm pe chhaya hua hai sannaTa
uTha hai shaKHs koi apne darmiyan se wo
abhi to rifaten kya kya thin muntazir us ki
abhi palaT ke bhi aaya na tha uDan se wo
hazar maila kiya dil ko us ki jaanib se
kisi bhi taur utarta nahin hai dhyan se wo
ab us ki yaad ab us ka malal kaisa hai
nikal gaya jo pare sarhad-e-guman se wo
wo jis 'sukun' ka ab aap puchhne aae
chala gaya hai kahin uTh ke is makan se wo
Ghazal
Hua nahin hai abhi munharif zaban se wo
Sultan Sukoon