hua jo waqf-e-gham wo dil kisi ka ho nahin sakta
tumhaara ban nahin sakta hamara ho nahin sakta
suna pahle to KHwab-e-wasl phir irshad farmaya
tere ruswa kiye se koi ruswa ho nahin sakta
lagawaT us ki nazron mein banawaT us ki baaton mein
sahaara miT nahin sakta bharosa ho nahin sakta
tamanna mein teri miT jae dil han ye to mumkin hai
mere dil se miTe teri tamanna ho nahin sakta
na fursat hai na rahat hai na 'beKHud' wo tabiat hai
ghazal kya KHak likkhen sher achchha ho nahin sakta
Ghazal
Hua jo waqf-e-gham wo dil kisi ka ho nahin sakta
Bekhud Dehlvi