hua jab samna us KHub-ru se
uDa hai rang gul ka pahle bu se
ye aankhen tar jo rahti hain lahu se
wo guzre ishq ke din aabru se
ise kahiye shahadat-nama-e-ishq
use likkha hai KHat apne lahu se
dhuan ban kar uDi missi ki rangat
ye kis ne jal ke tere honT chuse
raqibon ko tamanna hai to bashad
tumhein matlab parai aarzu se
wo gul-takiya mere marqad mein rakhna
moattar ho jo zulf-e-mushk-bu se
nai zid hai ki dil hum muft lenge
bhala kya faeda is guftugu se
adu bhi tum ko chahe ai teri shan
laDate hain hum apni aarzu se
hua hai tu to shahid-baz ai dil
bachaun tujh ko kis kis KHub-ru se
laga rakkhi hai KHak us rahguzar ki
tayammum apna baDh kar hai wuzu se
hamara dil use ab DhunDta hai
thake hain panw jis ki justuju se
KHuda jaane chhalawa tha ki bijli
abhi nikla hai koi ru-ba-ru se
hua hai 'dagh' aasif ka namak-KHwar
guzar jae ilahi aabru se
Ghazal
Hua jab samna us KHub-ru se
Dagh Dehlvi