اردو हिंदी
Hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai | Shaahi Shayari
hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai

Ghazal

Hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai

Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi

;

hua jab jalwa-ara aap ka zauq-e-KHud-arai
tamasha rah gaya ban kar jahan ka har tamashai

bahaaren hi hua karti hain tamhid-e-KHizan aksar
wahan barson raha matam jahan pal bhar KHushi aai

bahar-surat qayamat hai wo aaen ya chale jaen
jo aae to sukun chhina gae to jaan taDpai

kali chaTki na gul mahke na ghunchon par nikhaar aaya
ajab andaz se ab ke gulistan mein bahaar aai

jahan mujh ko nazar aaya koi naqsh-e-qadam un ka
wahin ek dam taDap uTTha mera zauq-e-jabin-sai

ye kya tarz-e-musawat-e-jahan hai aadil-e-mutlaq
kahin aahen nikalti hain kahin bajti hai shahnai

meri KHalwat mein lakhon aarzuen jalwa-farma hain
kahin mahfil se baDh kar hai meri ai 'barq' tanhai