اردو हिंदी
Hua hai ahl-e-sahil par asar kya | Shaahi Shayari
hua hai ahl-e-sahil par asar kya

Ghazal

Hua hai ahl-e-sahil par asar kya

Mahesh Chandra Naqsh

;

hua hai ahl-e-sahil par asar kya
tujhe ai Dubne wale KHabar kya

wahi hai chashm-e-nargis ka tahayyur
nahin gulshan mein koi dida-war kya

safina kyun tah-e-girdab aaya
talatum-KHez maujon ko KHabar kya

nigah-e-lutf ka mamnun hai dil
magar ye pursish-e-bar-e-digar kya

na jaana jis ne raaz-e-marg-o-hasti
wo kya samjhe ki hai teri nazar kya

bahut dushwar thi rah-e-mohabbat
hamara sath dete ham-safar kya

sitaron ki bhi umren ho gain KHatm
na hoga qissa-e-gham muKHtasar kya

sahar apni na apni sham ai 'naqsh'
kisi majbur ke sham-o-sahar kya