اردو हिंदी
Hua de kar dabe shoalon ko bhaDkaya nahin jata | Shaahi Shayari
hua de kar dabe shoalon ko bhaDkaya nahin jata

Ghazal

Hua de kar dabe shoalon ko bhaDkaya nahin jata

Sayyad Zahiruddin Zaheer

;

hua de kar dabe shoalon ko bhaDkaya nahin jata
dikha kar jam mai pyason ko tarsaya nahin jata

na le ja dur gulshan se are sayyaad bulbul ko
ki bimar-e-mohabbat par sitam Dhaya nahin jata

teri tar-damani ko dekh kar kuchh shak sa hota hai
ki dhabba daman-e-masum par paya nahin jata

hain donon nur ke TukDe magar hifz-e-maraatib se
sitaron ko shah-e-KHawar se Takraya nahin jata

bahaaro hai buri ye baat hum se aashiq-e-gul ko
dikha ke ru-e-gul kanTon mein uljhaya nahin jata

na kar nashtar-zani sayyaad sada-lauh bulbul par
na jaane jo taDapna us ko taDpaya nahin jata

'zahir'-e-KHasta ye bhi ek usul pas-e-ulfat hai
zaban par kalma-e-shikwa kabhi laya nahin jata