اردو हिंदी
Hua chali to nasha chha gaya fazaon mein | Shaahi Shayari
hua chali to nasha chha gaya fazaon mein

Ghazal

Hua chali to nasha chha gaya fazaon mein

Jameel Yusuf

;

hua chali to nasha chha gaya fazaon mein
KHayal Dub gaya dur ki sadaon mein

na hath aae mere dauDte hue lamhe
safar kaTa hai mera baadalon ki chhanw mein

mein apne shahr ke naqsh-o-nigar bhul gaya
kisi ne luT liya mujh ko chaT ganw mein

na ishq ki koi manzil na husn ka koi taur
ye aag kaise giraftar ho wafaon mein

ye faslon ke sarabon se sair ho na sake
na jaane tishnagi kitni hai mere panw mein

qadam qadam pe mujhe sajda-gah nazar aae
ghira hua hun main bandon mein ya KHudaon mein

ise bhi gahe-ba-gahe nigah mein rakhna
'jamil' bhi to hai tere ghazal-saraon mein