hua ashk-e-gulgun bahaar-e-gareban
ba-rangrag-e-gul hai tar-e-gareban
rahe hai sada chaak matam-kada mein
tahayyur nahin iKHtiyar-e-gareban
kabhu hath daman tak us ke na pahuncha
che-jae ki qurb-o-jawar-e-gareban
teri dekh aankhen KHajil hogi nargis
jhuka chashm ko hai do-chaar-e-gareban
bane mauj ro aastin gar nichoDun
ho girdab har ja fishaar-e-gareban
saba kab uThate hain jun nikhat-e-gul
subuk-ruh gardan pe bar-e-gareban
supurd hum ne ab naseha kar diya hai
ba-dast-e-junun karobar-e-gareban
jahan mein hai KHurshid se subh raushan
ki aata hai tikma ba-kar-e-gareban
gale mein hai champa kali ya kisu ke
hain laKHt-e-jigar ham-kanar-e-gareban
lagai nahin us ne goTe ki magzi
hui barq aa kar nisar-e-gareban
nahin tauq pahne hai qumri ki hai ab
ye zeb-e-gulu-band o haar-e-gareban
gulistan mein ye moatakif hai jo ab hai
sar-e-ghuncha sohbat barar-e-gareban
'nasir' ab yahan chashm-e-sozan hai mahram
z-sar-rishta-hae waqar-e-gareban
Ghazal
Hua ashk-e-gulgun bahaar-e-gareban
Shah Naseer