howe wo shoKH-chashm agar mujh se chaar chashm
qurban karun main chashm par us ke hazar chashm
muddat hui palak se palak aashna nahin
kya is se ab ziyaada kare intizar chashm
jis rang se ho abr safed o siyah o surKH
is tarah kar rahe hain tumhaare bahaar chashm
sote se nam sun ke mera yar jag uTha
baKHton ke khul gae mere be-iKHtiyar chashm
jage ho raat ya ye nashe ka utar hai
jo subh kar rahe hain tumhaare KHumar chashm
zalim KHuda ke waste 'hatim' ko munh dikha
muddat se dekhne ke hain ummid-war chashm
Ghazal
Howe wo shoKH-chashm agar mujhse chaar chashm
Shaikh Zahuruddin Hatim