اردو हिंदी
Hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan | Shaahi Shayari
hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan

Ghazal

Hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan

Brahma Nand Jalees

;

hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan
ai ham-nashin banaiye ab aashiyan kahan

Thahre misal teri gul-e-arghawan kahan
ai mah-jabin zamin kahan aasman kahan

chhana kiya main KHak-e-do-alam tamam umr
apni talash le gai mujh ko kahan kahan

chhuTta hujum-e-gham se mera sath kis tarah
jata bichhaD ke mujh se mera karwan kahan

mahdud jin ki dair-o-haram tak thi justuju
hota nasib un ko tera aastan kahan

har manzil-e-hayat ki had par ho chuki
le jaegi ab aur ai umr-e-rawan kahan

sayyaad ne bhi mujh ko riha kar diya 'jalis'
qismat mein ab qafas bhi nahin aashiyan kahan