اردو हिंदी
Hoti hai haar jit pinhan baat baat mein | Shaahi Shayari
hoti hai haar jit pinhan baat baat mein

Ghazal

Hoti hai haar jit pinhan baat baat mein

Muneer Shikohabadi

;

hoti hai haar jit pinhan baat baat mein
chaupaD bichhi hai anjuman-e-kaenat mein

rakh fikr-e-jism aaryati kaenat mein
chori na jaen mang ke kapDe baraat mein

pyase meri lahu ke hain sab kaenat mein
kashti-e-umr chalti hai aab-e-furaat mein

be-aql ho ke aa gae hasti ki ghat mein
diwane ban ke phans gae qaid-e-hayat mein

saqi se kah do sabza-e-tar mein baha sharab
Tanke kadu ki bel qaba-e-nabaat mein

ki talKH guftugu lab-e-jaan-baKHsh se mudam
afyun gholi aap ne aab-e-hayat mein

qaem mizajiyon mein bhi ghaflat muhit hai
hai KHwab-e-marg maKHmal-e-rang-e-sabaat mein

honTon ka ishq tha ye rahe aabru ki baat
murde ko ghusl dijiye aab-e-hayat mein

pahuncha jo tere kuche mein KHud-rafta ho gaya
jata raha main aap se rah-e-najat mein

malte hain KHub-ru tere KHeme se chhatiyan
angiya ki Doriyan hain muqarrar qanat mein

hasti mein tark kijiye zulfon ke ishq ko
zanjiren dohri toDiye qaid-e-hayat mein

musa-o-KHizr ne tere baTne ke waste
ghola hai barq-e-tur ko aab-e-hayat mein

ghaarat kiya aKHir jawani mein dahr ko
duniya tamam luT li thoDi si raat mein

juz dagh-e-zindagi mein nahin aur kuchh surur
afyun kab hai lala-e-rang-e-sabaat mein

muddat se Dher jada-e-bak-e-najaf mein hai
takiya hai is faqir ka rah-e-najat mein

shadi hui jo raat ko khele wo ganjifa
raushan kiya ghulam ne ikka baraat mein

kuche mein rakh ke aashiq-e-muztar ki haDDiyan
machhli ke kanTe bo diye rah-e-najat mein

dil ki safa ho jama-e-hasti mein jalwa-gar
jeb-e-sahar ugaun qaba-e-hayat mein

sawan ke badle gaiye 'hafiz' ke sher-e-tar
jhula zarur Daliye shaKH-e-nabaat mein

hasti ki qaid se dil-e-betab chhup gaya
machhli na Thahri bazu-e-sham-e-hayat mein

murde jilae saikDon Thukra kar ai sanam
dast-e-masih ka hai asar teri lat mein

shirin-adaiyan bhi hon raftar-e-naz bhi
kafur-e-subh-e-hashr ho qand-o-nabaat mein

honTon ki masti dur ki tu ne khaTai se
lemu ki chashni hai teri miThi baat mein

andha banaenge wo rula kar itab se
rahte hain roz aankh churane ki ghat mein

maut aae mujh ko hijr mein ahmad ki ai 'munir'
wallah kuchh maza nahin aisi hayat mein