hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai
aabru bare teri abr-e-bahaari rah gai
aate aate is taraf un ki sawari rah gai
dil ki dil mein aarzu-e-jaan-nisari rah gai
hum ko KHatra tha ki logon mein tha charcha aur kuchh
baat KHat aane se tere par hamari rah gai
TukDe TukDe ho ke uD jaega sab sang-e-mazar
dil mein baad-az-marg kuchh gar be-qarari rah gai
itna miliye KHak mein jo KHak mein DhunDe koi
KHaksari KHak ki gar KHaksari rah gai
aao gar aana hai kyun gin gin ke rakhte ho qadam
aur koi dam ki hai yan dam-shumari rah gai
ho gaya jis din se apne dil par us ko iKHtiyar
iKHtiyar apna gaya be-iKHtiyari rah gai
jab qadam us kafir-e-bad-kesh ki jaanib baDhe
dur pahunche sau qadam parhez-gari rah gai
khinchte hi tegh ada ke dam hua apna hawa
aah dil mein aarzu-e-zaKHm-e-kari rah gai
aur to gham-KHwar sare kar chuke gham-KHwargi
ab faqat hai ek gham ki gham-gusari rah gai
shikwa ayyari ka yaron se baja hai ai 'zafar'
is zamane mein yahi hai rasm-e-yari rah gai
Ghazal
Hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai
Bahadur Shah Zafar