hote honge is duniya mein arsh ke dawedar buland
pasti ke hum rahne wale nikle aaKHir-e-kar buland
ek taraf ho tum afsurda ek taraf hum aazurda
aur chaman ko banTo yaro aur karo diwar buland
kab zid ki hai hum ne tum se apni unchi hasti ki
kaisi bahs taqaza kaisa tum ho hum se yar buland
le aai majburi hum ko aaj parai mahfil mein
aur tamasha dekh rahe hain ho ho kar aghyar buland
shaer aur takabbur mein kya rishta in mein nisbat kya
shahr-e-suKHan mein rakhiye apne sar ko KHam mear buland
izzat-afzai hai be-shak baat muqaddar ki 'inam'
warna qudrat ne rakkhe hain phulon se bhi KHar buland
Ghazal
Hote honge is duniya mein arsh ke dawedar buland
inaam Hanafi