hote hi jawan ho gae paband-e-hijab aur
ghunghaT ka izafa hua baala-e-naqab aur
jab main ne kaha kam karo aain-e-hijab aur
farmaya baDha dunga abhi ek naqab aur
pine ki sharab aur jawani ki sharab aur
hushyar ke KHwab aur hain madhosh ke KHwab aur
gardan bhi jhuki rahti hai karte bhi nahin baat
dastur-e-hijab aur hain andaz-e-hijab aur
pani mein shakar ghol ke pita to hai ai shaiKH
KHatir se mila de meri do ghunT sharab aur
saqi ke qadam le ke kahe jata hai ye shaiKH
thoDi si sharab aur de thoDi si sharab aur
'sael' ne sawal us se kiya jab bhi ye dekha
milta nahin gali ke siwa koi jawab aur
Ghazal
Hote hi jawan ho gae paband-e-hijab aur
Saail Dehlvi