hote hain KHush kisi ki sitam-raniyon se hum
waqf-e-bala hain apni hi nadaniyon se hum
kis munh se ja ke shikwa-e-jaur-o-jafa karen
marte hain aur un ki pashemaniyon se hum
miras-e-dasht-o-koh mein farhad o qais ki
ulfat ko puchhte hain bayabaniyon se hum
ghar baiThe sair hoti hai arz-o-sama ki roz
mahw-e-safar hain taba ki jaulaniyon se hum
kyunkar baghair jalwa-e-hairat taraaz-e-husn
paen najat dil ki pareshaniyon se hum
ai bani-e-jafa tera ehsan hai is mein kya
jite hain gar to apni giran-jaaniyon se hum
Ghazal
Hote hain KHush kisi ki sitam-raniyon se hum
Tilok Chand Mahroom