hote hain KHatm ab ye lamhat zindagi ke
mehman hain jahan mein hum aur do ghaDi ke
ai be-niyaz mera sajda qubul kar le
main jaanta nahin hun aadab bandagi ke
sanson ke tar tum ne ghaflat se toD Dale
naghme sunoge ab kyunkar saz-e-zindagi ke
ab KHairiyat nahin hai tanzim-e-do-jahan ki
tewar bata rahe hain us but ki KHud-sari ke
ranaiyon pe apni nazan na hon bahaaren
anjam-e-gham nihan hai aaghaz mein KHushi ke
hansna tha chaar din ka rona hai umr bhar ka
dastur mein nirale duniya-e-ashiqi ke
umr-e-aziz ka jab anjam khul chuka hai
rone se faeda kya badle mein ab hansi ke
hum ne rah-e-wafa mein luT kar qadam qadam par
chhine hain rahzanon se atwar rahzani ke
jab tak na aazmaen mushkil hai ye batana
duniya mein kaun 'rifat' qabil hai dosti ke

Ghazal
Hote hain KHatm ab ye lamhat zindagi ke
Rifat Sethi