اردو हिंदी
Hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote | Shaahi Shayari
hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote

Ghazal

Hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote

Basir Sultan Kazmi

;

hote hain jo sab ke wo kisi ke nahin hote
auron ke to kya honge wo apne nahin hote

mil un se kabhi jagte hain jin ke muqaddar
teri tarah har waqt wo soe nahin hote

din mein jo phira karte hain hushiyar o KHabar-dar
wo meri tarah raat ko jage nahin hote

hum un ki taraf se kabhi hote nahin ghafil
rishte wahi pakke hain jo pakke nahin hote

aghyar ne muddat se jo roke hue the kaam
ab hum bhi ye dekhenge wo kaise nahin hote

nakaami ki surat mein mile tana-e-na-yafat
ab kaam mere itne bhi kachche nahin hote

shab ahl-e-hawas aise pareshan the 'basir'
jaise mah-o-anjum kabhi dekhe nahin hote