اردو हिंदी
Hota hai mehrban kahan par KHuda-e-ishq | Shaahi Shayari
hota hai mehrban kahan par KHuda-e-ishq

Ghazal

Hota hai mehrban kahan par KHuda-e-ishq

Rana Amir Liyaqat

;

hota hai mehrban kahan par KHuda-e-ishq
lagti hai phir bhi shahr mein khul ke sada-e-ishq

nukta yahi azal se paDhaya gaya hamein
hawwa barae-husn hai aadam barae-ishq

duniya hamare hath mein hai gend ki tarah
hum kar rahe hain zindagi jab se barae ishq

baiThe hain misl-e-yar hue KHud ke ru-ba-ru
milti nahin har ek ko aisi ata-e-ishq

deta hun sare shahr mein bas ek hi sada
darwesh dega KHair mein sab ko dua-e-ishq

musa ko samt-e-tur jo ek mauj le gai
wo intiha-e-shauq thi ya ibtida-e-ishq

duniya ki justuju to hui KHatm kab ki dost
murshid hamara ishq hai hum hain gada-e-ishq