hota fankar-e-jadid aur na shaer hota
laghw be-bahr KHayalat ka mazhar hota
aur baDh jati jo ibham ki nudrat mujh mein
ahd-e-nau ke kisi firqe ka payambar hota
kuchh to milta mujhe dushnam-taraazi hi sahi
KHub hota jo main dushman ke barabar hota
kahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jata
phul hota kisi gulshan ka gul-e-tar hota
mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki inayat hoti
kash ke main bhi kisi koh ka patthar hota
yun tarashe hain sanam kufr ke is duniya ne
but-shikan hota jo is daur mein 'azar' hota
khinch deta main zamane pe mohabbat ke nuqush
mere qabze mein agar KHama-e-shahpar hota
apni KHaliq ka mafhum samajh pata agar
daera hota jahan aur main mehwar hota
log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauran kahte
neza-e-waqt pe goya jo mera sar hota
dasht ki aab-o-hawa ne diya kanTon ka libas
main bahaaron mein jo palta gul-e-ahmar hota
KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein
na haweli na mahal aur na koi ghar hota
tishna-lab koi bhi duniya mein nahin rah pata
meri aaankhon ke jo qabze mein samundar hota
Ghazal
Hota fankar-e-jadid aur na shaer hota
Haidar Ali Jafri