hosh saqi ko na KHum ka hai na paimane ka
is tarah haal ye abtar hua maiKHane ka
shiddat-e-gham se nikal hi paDe aaKHir aansu
shama se soz na dekha gaya parwane ka
jaan-ba-haq ho gaya hota ye kabhi ka bimar
gar yaqin hota na us shoKH ke aa jaane ka
dair banta hai haram aur haram dair kabhi
kaba kahte hain jise nam hai but-KHane ka
tauq-o-zanjir mein bandhe na bandhega hargiz
baDh gaya aur junun gar tere diwane ka
wo pas-e-marg ab aae hain ayaadat ko meri
jabki duniya mein hai shohra mere mar jaane ka
kis qadar 'shauq' hasinon ke khinche hain naqshe
dil ke har zarra mein aalam hai pari-KHane ka
Ghazal
Hosh saqi ko na KHum ka hai na paimane ka
Shauq Bijnori