hosh-o-KHirad se dur hun sud-o-ziyan se dur
diwana hun quyud-e-rusum-e-jahan se dur
hadd-e-nazar se dur zaman-o-makan se dur
manzil hai mere ishq ki fahm-o-guman se dur
rangini-e-jamal se sahra bhi hai chaman
baiTha hun gulsitan mein magar gulsitan se dur
ye be-KHudi-e-shauq ka aalam to dekhiye
sajde to kar raha hun magar aastan se dur
dil bhi wahi hai main bhi wahi dard bhi wahi
lekin ye kya ki lazzat-e-soz-e-nihan se dur
shayad usi ka nam hai nakaami-e-murad
manzil se hun qarib magar karwan se dur
afsana-e-hayat ko samjho to ai 'saba'
har harf dastan hai magar dastan se dur
Ghazal
Hosh-o-KHirad se dur hun sud-o-ziyan se dur
Saba Afghani