اردو हिंदी
Hosh-o-KHirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhoD diya | Shaahi Shayari
hosh-o-KHirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhoD diya

Ghazal

Hosh-o-KHirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhoD diya

Nazeer Akbarabadi

;

hosh-o-KHirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhoD diya
hum ne tumhaari chah mein ai jaan dekho to kya kya chhoD diya

kuche mein us rashk-e-chaman ke ja ke jo baiTha phir us ne
bagh-o-chaman yan jitne hain sab ka sair-o-tamasha chhoD diya

luTa hosh aur luTa din ko dil ko bhi kuchla kya kya wah
naz ko us ne aaj to kuchh be-dad par aisa chhoD diya

din ko hamare pas wo chanchal kahe ko aawega ai dil
raat ko ek dam KHwab mein aana jis ne idhar ka chhoD diya

tair-e-dil jab hum se gaya phir faeda kya jo puchhen 'nazir'
shoKH ne us ko zabh kya ya qaid rakha ya chhoD diya