hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai
phir ye puchhun ki ye parda hai to jalwa kya hai
donon aankhon mein hai ek jalwa to do aankhen kyun
putliyon ka ye tamasha sa wagar na kya hai
to ne pahchan liye apni KHudai ke nuqush
aaina jis ne taaruf ye karaya kya hai
zindagi-bhar paDhi taqdir ki KHufiya tahrir
lauh-e-marqad se paDhun aage ka likkha kya hai
main hun taKHliq teri soz ka ham-mani hun
tu hai mani to tera lafz se rishta kya hai
har-nafas peT ka indhan hai yahan par ai fan
hai jo hasil tera duniya hi to duniya kya hai

Ghazal
Hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai
Ehsan Akbar