honTon par hai baat kaDi taziren bhi
KHamoshi ka rang huin taqriren bhi
KHauf yahi hai aane wali naslon ko
ek ajuba hongi ye tahriren bhi
mausam ke sau rup magar in aankhon mein
KHwab wahi hain KHwabon ki tabiren bhi
aainda ke sans hamare apne hain
TuT chukin is wade ki zanjiren bhi
ek ajab hairat mein gum-sum rahti hain
diwaren diwaron par taswiren bhi
pani ki KHamosh sadaen kaun sune
KHatm huin jab miTTi ki tasiren bhi
Ghazal
HonTon par hai baat kaDi taziren bhi
Ghulam Husain Sajid