honT masruf-e-dua aankh sawali kyun hai
dil ke manind mera zehn bhi KHali kyun hai
wo to naraaz hai mujh se to phir aaKHir us ne
muskurahaT si meri samt uchhaali kyun hai
us ko hairat mere sheron pe nahin is par hai
mere shane pe jo chadar hai wo kali kyun hai
wo bhi kya din the teri soch ko chhu sakta tha
ab tera aks faqat aks-e-KHayali kyun hai
kya bataoge ki hum mein se wafa kis ne ki
tum ne mahfil mein meri baat nikali kyun hai
is irade se mein baiTha tha ghazal likhne ko
sochta hun teri taswir bana li kyun hai
ab main jaane nahin deta to bura manti ho
is qadar pyar ki aadat mujhe Dali kyun hai
Ghazal
HonT masruf-e-dua aankh sawali kyun hai
Wajeeh Sani