honkte dasht mein ek gham ka samundar dekho
tum kisi roz agar dil mein utar kar dekho
niklo saDkon pe to hansti hui lashon se milo
band aankhen jo karo qatl ka manzar dekho
aanch qurbat ki na pighla de kahin tar-e-nazar
shola-e-husn ko kuchh dur se bach kar dekho
ye to kahte ho ki KHud main ne kaTai gardan
koi hathon mein hawa ke bhi to KHanjar dekho
aastinen to kahin chupke se dho lo yaro
ho kisi ko na shubah qatl ka tum par dekho
dar o diwar se uThte hain ye shole kaise
dosto chal ke zara ghar ke to andar dekho
haDDiyan gal chukin ab to na ukheDo un ko
DhunD len phir ye naya koi na paikar dekho
main bhi is safha-e-hasti pe ubhar sakta hun
rang to tum meri taswir mein bhar kar dekho
ab to khilti hui kaliyon mein na DhunDo mujh ko
rakh hote hue ek shole ka manzar dekho
phenk do TuTi ummidon ke ye TukDe bahar
dil mein rah jae kirich koi na gaD kar dekho
liye aaina wafaon ka kahan phirte ho
hon na hathon mein kahin andhon ke patthar dekho
ek muddat se hai logon ko 'naimi' ki talash
qasr-e-tanhai ki diwaren gira kar dekho
Ghazal
Honkte dasht mein ek gham ka samundar dekho
Abdul Hafiz Naeemi