honge wo jalwa-gar kabhi na kabhi
aaenge baam par kabhi na kabhi
ye yaqin hai ki meri ulfat ka
hoga un par asar kabhi na kabhi
khinch laega mera jazba-e-dil
tujh ko ai be-KHabar kabhi na kabhi
lakh hum se chhupa to phir kya hai
DhunD lega nazar kabhi na kabhi
sher-goi ko aap ki 'taban'
hoga hasil samar kabhi na kabhi
Ghazal
Honge wo jalwa-gar kabhi na kabhi
Anwar Taban