اردو हिंदी
Hone wala tha ek hadsa rah gaya | Shaahi Shayari
hone wala tha ek hadsa rah gaya

Ghazal

Hone wala tha ek hadsa rah gaya

Farooq Shafaq

;

hone wala tha ek hadsa rah gaya
kal ka sab se baDa waqia rah gaya

raat aangan mein utri nahin chandni
chand shaKHon mein uljha hua rah gaya

hum ne kah sun liya mutmain ho gae
aur ab kahne sunne ko kya rah gaya

subh hogi kahani banegi koi
zindagi ka yahi masala rah gaya

main ne nafrat ki khai pe pul rakh diya
phir bhi TuTa hua silsila rah gaya

sab Darame ke kirdar ghar chal diye
samne ek parda paDa rah gaya

ye bhi taklik-deh ek saza hi to hai
shaKH mein ek patta hara rah gaya

main kisi ke yahan waqt kya kaTta
apna hi ghar 'shafaq' DhunDhta rah gaya