hone se mere farq hi paDta tha bhala kya
main aaj na jaga to sawera na hua kya
sab bhigi ruten nind ke us par hain shayad
lagti hai zara aankh to aati hai hawa kya
hum khoj mein jis ki hain pareshan azal se
bimar ki aankhon ne wo dar DhunD liya kya
maqtul ko banhon mein liye baiTha rahun kyun
is jurm se lena hai use aur maza kiya
diwar qafas ki ho ki ghar ki mujhe kya farq
tafrih ke saman hon mayassar to saza kya
aisa to kabhi raqs mein be-KHud na hawa main
mai-KHane ke mahaul mein hota hai nasha kya
ye dhup ki tezi ye sarabon ki sajawaT
sahra ne junun ko mere pahchan liya kya
Ghazal
Hone se mere farq hi paDta tha bhala kya
Shariq Kaifi