اردو हिंदी
Hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale | Shaahi Shayari
hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale

Ghazal

Hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale

Sohan Rahi

;

hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale
jab bhi lau dete hain KHwabon ke badan raat Dhale

hansti kaliyon ne to singar kiya tha lekin
jal bujha kyun tere wadon ka chaman raat Dhale

nur hai dida-e-dil mein to zara ghaur se dekh
zaKHm ke chand ko lagta hai gahan raat Dhale

chandni raat ke tabut mein rakh de us ko
dil ne pahna hai andheron ka kafan raat Dhale

Dhalti jati hai nigahon ke piyalon mein sharab
jab bhi do jismon ka hota hai milan raat Dhale

gunguna uThta hai tanhai ka kangan rahi
jagti hai junhi yaadon ki dulhan raat Dhale