hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut
ek sath ke chalne walon mein bhi hai algaw bahut
bahke bahke se baadal hain kya jaane ye jaen kidhar
badli hui hawaon ka hai un par aaj dabaw bahut
soch ka hai ye pher ki yaro pech-o-KHam ki duniya mein
DhunD rahe ho aisa rasta jis mein nahin ghumaw bahut
apne-ap mein uljhi hui ek duniya hai har shaKHs yahan
suljhe hue zehnon mein bhi hain chhupe hue uljhaw bahut
mere ahd ke insanon ko paDh lena koi khel nahin
upar se hai mel-mohabbat, andar se hai khinchaw bahut
Ghazal
Hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut
Qaisar Shameem