hona hai gham ko KHak-basar jagte raho
milti hai zindagi ki KHabar jagte raho
gardish wida-e-hijr hai aur muzhda-e-visal
gardish mein hain ye sham-o-sahar jagte raho
dekhoge sehn-e-bagh mein aab-e-rawan ka josh
laenge naKHl barg-o-samar jagte raho
sine ko chaak chaak karo dil ko laKHt laKHt
aaenge ghar mein shams-o-qamar jagte raho
shisha uThao jam mein Dhaalo ghazal kaho
hota hai qafilon ka guzar jagte raho
dekhoge chashm-e-nargis-e-jadu ba-kaam-e-dil
dekhoge zulf ta-ba-kamar jagte raho
raqs-e-butan bhi hoga yahin raqs-e-jam bhi
aankhon mein bhar ke josh-e-nazar jagte raho
waqt-e-sahar hai waqt-e-manajat-o-sair-e-gul
sone mein hai ziya-e-sahar jagte raho

Ghazal
Hona hai gham ko KHak-basar jagte raho
Khurshid-ul-islam