اردو हिंदी
Hon tumko mubarak lal-o-gohar hum le ke ye daulat kya karte | Shaahi Shayari
hon tumko mubarak lal-o-gohar hum le ke ye daulat kya karte

Ghazal

Hon tumko mubarak lal-o-gohar hum le ke ye daulat kya karte

Ajiz Matvi

;

hon tum ko mubarak lal-o-gohar hum le ke ye daulat kya karte
har shai ko fana hona hai agar to dhan se mohabbat kya karte

sad shukr wo the mail-ba-karam marub the roab-e-husn se hum
un se ahwal-e-dil-e-pur-gham kahne ki jasarat kya karte

hum sahte rahe zulm aur jafa ye soch ke munh se kuchh na kaha
Talta hai kahin qismat ka likha phir un se shikayat kya karte

zahir mein karam par mail hain aada ki safon mein shamil hain
apne hi hamare qatil hain ghairon se shikayat kya karte

kyun Dar se na hota chehra dhul shishe ka hamara jo tha makan
jo sang-ba-kaf aae the yahan hum un se baghawat kya karte

ye kaam tha bas tum se mumkin majbur rahe 'ajiz' har chhan
tum ne to shikayat ki lekin hum tum se shikayat kya karte