hon lakh zulm magar bad-dua nahin denge
zamin man hai zamin ko dagha nahin denge
hamein to sirf jagana hai sone walon ko
jo dar khula hai wahan hum sada nahin denge
riwayaton ki safen toD kar baDho warna
jo tum se aage hain wo rasta nahin denge
yahan kahan tera sajjada aa ke KHak pe baiTh
ki hum faqir tujhe boriya nahin denge
sharab pi ke baDe tajarbe hue hain hamein
sharif logon ko hum mashwara nahin denge
Ghazal
Hon lakh zulm magar bad-dua nahin denge
Rahat Indori