hon kyun na munkashif asrar past-o-baala ke
jame hain panw zamin par sar aasman ko chhue
jo sarnawisht mein hai us ko ho ke rahna hai
to kis bharose pe insan jidd-o-jahd kare
ab aasman se sahife nahin utarte magar
khula hua hai dar-e-ijtihad sab ke liye
zaban ata kare sher un ki be-zabani ko
jo apne karb ka izhaar kar nahin sakte
bahaar-o-bahjat-o-izz-o-waqar us pe nisar
zaban se mal se jaan se jo zalimon se laDe
hai aansuon mein shifa kaisi kya KHabar us ko
bahae makr se jo jhuT-muT ke Taswe
hai bas-ki kaam hum aison ka bhi masihai
hum aasman pe zinda uThae jaenge
Ghazal
Hon kyun na munkashif asrar past-o-baala ke
Abdul Aziz Khalid