hogi wo dil mein jo Thani jaegi
kya hamari baat mani jaegi
Dhal chuki hai ab jawani jaegi
ye sharab-e-arghawani jaegi
baad-e-tauba aatish-e-sayyal-e-KHum
mere ghar se ho ke pani jaegi
KHizr yunhi gum rahenge umr-bhar
yunhi umr-e-jawedani jaegi
tegh hi kya hath mein qatil ke thi
ai hina tu bhi to sani jaegi
aae tare hijr ki shab kuchh nazar
ab bala-e-asmani jaegi
arsh par hai KHush-jamalon ka mizaj
kyun kar un ki lan-tarani jaegi
KHidmat-e-maiKHana kar le warna shaiKH
raegan ye zindagani jaegi
maut se bad-tar buDhapa aaega
jaan se achchhi jawani jaegi
shoKHiyan kahti hain khul khelenge wo
ab haya ki pasbani jaegi
aag ban kar jam mein aaegi mai
zamzami mein ho ke pani jaegi
bosa-e-gesu se hain chin-ba-jabin
raat-bhar kya sargirani jaegi
bole sun kar dil ke pamali ka haal
kis gali ki KHak chhani jaegi
jaan se baDh kar ise rakhte aziz
kya samajhte the jawani jaegi
sath lae hain qafas se na-tawan
jate jate na-tawani jaegi
nale karna sikh le ai andalib
ab ye tarz-e-naghma-KHwani jaegi
shaiKH ne mangi hai apni umr ki
mai-kade se ab purani jaegi
ja chuke hain aap kal dushman ke ghar
aaj marg-e-na-gahani jaegi
pine aaen to farishta-KHu 'riyaz'
hur ke daman mein chhani jaegi
Ghazal
Hogi wo dil mein jo Thani jaegi
Riyaz Khairabadi