ho tark kisi se na mulaqat kisi ki
yarab na bigaD jae bani baat kisi ki
panw ko jo phaila ke sar-e-sham se soe
kya jaane wo kis tarah kai raat kisi ki
farmaiye kyun kar wo sahe aap ki gali
uTh sakti na ho jis se kaDi baat kisi ki
farmaishen tum rose karo shauq se lekin
ye jaan lo thoDi si hai auqat kisi ki
mumkin hai ki samjhe na 'hafiz' aap ki chaalen
shaer se bhi chalti hai kahin ghat kisi ki
Ghazal
Ho tark kisi se na mulaqat kisi ki
Hafeez Jaunpuri