اردو हिंदी
Ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae | Shaahi Shayari
ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae

Ghazal

Ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae

Ameen Rahat Chugtai

;

ho sake to dil-e-sad-chaak dikhaya jae
ab bhari bazm mein ahwal sunaya jae

hae us jaan-e-tamanna se nibhegi kaise
hum se to raaz na ek roz chhupaya jae

apna gham ho to use kah ke sukun mil jae
us ka gham ho to kise ja ke sunaya jae

raat bhar jin ki ziya se rahe raushan kamre
subh-dam un hi charaghon ko bujhaya jae

dhyan mein jis ke kai jagti raaten guzrin
'rahat' ek raat use bhi to jagaya jae