ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas
kya abhi baqi hai koi aur ruswai ki bas
aashna rahen bhi hoti ja rahi hain ajnabi
is tarah jati rahi aankhon se binai ki bas
ta sahar karte rahe hum intizar-e-mehr-e-nau
dekhte hi dekhte aisi ghaTa chhai ki bas
DhunDte hi rah gae hum lal o almas o guhar
kor bad-binon ne aisi KHak chhanwai ki bas
kuchh shuur o his ka tha bohran hum mein warna hum
ahd-e-nau ki is tarah karte pazirai ki bas
kya nahin kaj-aks aainon ka duniya mein ilaj
jis ko dekho hai ajab mahw-e-KHud-arai ki bas
chaakri karte hue bhi hum rahe aazad-rau
dast-o-pa-e-shauq mein hai wo tawanai ki bas
aah kya karte ki hum aadi na the aaram ke
choT ek ek gam par albatta wo khai ki bas
us hasin giti ke khul kar rah gae sab joD-band
chand pagal zarron ko aai wo angDai ki bas
wo to kahiye baat ki fursat na thi warna ajal
puchhti gaw-e-zamin se aur paspai ki bas
kaun shair tha kahin ka kaun danish-war magar
daftaron ki dauD 'wamiq' aisi ras aai ki bas
Ghazal
Ho rahi hai dar-ba-dar aisi jabin-sai ki bas
Wamiq Jaunpuri