ho raha hai kya jahan mein ek nazar mat dekhiye
pahle panne par hai jo bas wo KHabar mat dekhiye
duniya ko tabdil karne ke hain is mein KHwab bas
inqilabi hun mera raKHt-e-safar mat dekhiye
pyar se bigDe bhi hain kuchh log ye mana magar
ho dawa lazim to is ke bad-asar mat dekhiye
kya ujaDta ja raha hai is pe bhi rakkhen nazar
sirf baste inT patthar ke nagar mat dekhiye
dekhna hai ye ki bilkul Thik ho apni disha
kitni bhi chahe ho pur-KHam rahguzar mat dekhiye
sharm se mar jaoge insan hain gar aap ek
kis tarah karte hain ye muflis guzar mat dekhiye
chahe ruk jao kahin bhi tan do tambu kahin
pichhe muD muD kar kabhi 'jaanib' magar mat dekhiye
Ghazal
Ho raha hai kya jahan mein ek nazar mat dekhiye
Mahesh Janib