ho rahzan ki hidayat ki rahbar ke fareb
meri nigah ne khae nazar nazar ke fareb
ye but-kade ye kalisa ye masjiden ye haram
ye sab fareb hain aur ek sang-e-dar ke fareb
samajh rahe the ki ashkon se hoga dil halka
na jaante the ki hain ye bhi chashm-e-tar ke fareb
pata chala ki har ek gam mein thi ek manzil
khule hain manzil-e-maqsud par safar ke fareb
inhin ka nam mohabbat inhin ka nam junun
meri nigah ke dhoke teri nazar ke fareb
Ghazal
Ho rahzan ki hidayat ki rahbar ke fareb
Shaukat Thanvi