ho na kuchh baat magar shor machae rakhna
is tarah auron ko hamdard banae rakhna
tum agar chahte ho sab tumhein hans hans ke milen
apna gham apne hi sine mein chhupae rakhna
dur karna na kabhi jalwon ko mere dil se
is chaman ko inhin phulon se sajae rakhna
is se pur-nur hua meri tamanna ka diya
ruKH-e-raushan se yunhi parda uThae rakhna
ye hamara hi kaleja hai ki tere gham ko
dil ki manind kaleje se lagae rakhna
ye ada un ki masiha bhi hai qatil bhi hai
samne aa ke nigahon ko jhukae rakhna
tum agar chahte ho koi tamanna na rahe
hath har ek tamanna se uThae rakhna
dar-e-mahbub pe har waqt paDe rahna 'jigar'
yani us dar ko dar-e-kaba banae rakhna
Ghazal
Ho na kuchh baat magar shor machae rakhna
Jigar Jalandhari