ho kyun na tere kaam mein hairan tamasha
ya-rab teri qudrat mein hai har aan tamasha
le arsh se ta-farsh nae rang nae Dhang
har shakl ajaib hai har ek shan tamasha
aflak pe taron ki jhalakti hai tilismat
aur ru-e-zamin par gul-o-raihan tamasha
jinnat pari dew malak hur bhi nadir
insan ajuba hai to haiwan tamasha
jab husn ke jati hai muraqqa pe nazar aah
kya kya nazar aata hai har ek aan tamasha
choTi ki gundhawaT kahin dikhlati hai lahren
rakhti hai kahin zulf-e-pareshan tamasha
gar ishq ke kuche mein guzar kije to wan bhi
har waqt nai sair hai har aan tamasha
munh zard badan KHushk jigar chaak alamnak
ghul shor tapish nala-o-afghan tamasha
hum past nigahon ki nazar mein to 'nazir' aah
sab arz-o-sama ki hai gulistan tamasha
Ghazal
Ho kyun na tere kaam mein hairan tamasha
Nazeer Akbarabadi