ho koi masala apna dua par chhoD dete hain
use KHud hal nahin karne KHuda par chhoD dete hain
tumhaari yaad ke baadal baraste hain kahan aaKHir
chalo ye silsila kali ghaTa par chhoD dete hain
use sar par biThae dar-ba-dar phirte rahen kab tak
ghuTan ka bojh hum dosh-e-hawa par chhoD dete hain
na tum manoge sachchai na hum se jhuT sambhlega
haqiqat kya hai hum ahl-e-safa par chhoD dete hain
khilenge zaKHm sine mein ki jazbon ki numu hogi
jo kal hoga use kal ki ada par chhoD dete hain
talluq tum se jo bhi hai nahin malum kal kya ho
chalo ye faisla apna KHuda par chhoD dete hain
Ghazal
Ho koi masala apna dua par chhoD dete hain
Sabir Raza