ho kis tarah na hum ko har dam hawa-e-matlab
dekha jo KHub hum ne duniya hai ja-e-matlab
jo gul-badan ki aaya aaghosh mein hamare
kuchh aur bu na nikli us mein siwae matlab
ushshaq ki bhi ulfat KHali nahin gharaz se
marte hain ye bhi is par jis se barae matlab
koi kisi ke upar hum ne fida na dekha
munh par fida hain lekin dil mein fida-e-matlab
matlab ke aashna ko ho kis se aashnai
kab aashna kisi ka ho aashna-e-matlab
gar bazm-e-raqs dekhi to wan bhi gosh-e-dil mein
koi sada na aai ghair-az-sada-e-matlab
zer-e-falak to hum se jati nahin tamanna
han phir falak pe jawen jab hum se ja-e-matlab
wo aabru ki jis par karte hain jaan tasadduq
us ko bhi de chuke hain akasr barae matlab
jab harf-e-abru tak pahuncha 'nazir' phir to
kya kahiye aisi jagah jizya ki hae matlab
Ghazal
Ho kis tarah na hum ko har dam hawa-e-matlab
Nazeer Akbarabadi