اردو हिंदी
Ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala | Shaahi Shayari
ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala

Ghazal

Ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala

Firaq Gorakhpuri

;

ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala
jo chala mai-kada-e-ishq se sarshaar chala

hamrah-e-husn ek amboh-e-KHaridar chala
sath is jins ke bazar ka bazar chala

na hua rah-e-mohabbat mein koi ohda-bara
jo subuk-dosh hua wo bhi giran-bar chala

un ka jo haal ki pahle tha wahi haal raha
tere gham-kushton se iqrar na inkar chala

aasman ho ki qayamat ho ki ho tir-e-qaza
chaal us fitna-e-dauran se har ek bar chala

zauq-e-nazzara usi ka hai jahan mein tujh ko
dekh kar bhi jo liye hasrat-e-didar chala

husn-e-kafir se kisi ki na gai pesh 'firaq'
shikwa yaron ka na shukrana-e-aghyar chala