ho ke mah wo to kisi aur ka haala nikla
hum ne samjha tha jise gul so wo lala nikla
lene KHairaat tere chehra-e-pur-nur se raat
badr chandi ka liye hath mein pyala nikla
us ke chehre pe nahin kakul-e-mushkin ki numud
ye piTare ke tain toD ke kala nikla
tha irada teri fariyaad karen hakim se
wo bhi ai shoKH tera chahne wala nikla
raat koThe pe chaDha wo to kahun kya yaro
manzar-e-baam se us ke wo ujala nikla
barq jun chamke hai ya chhuTe hai jaise mahtab
wo ujala to kuchh is se bhi nirala nikla
ji ki sab dhum thi jab tan se wo nikla to 'nazir'
phir na sine se uThi aah na nala nikla
Ghazal
Ho ke mah wo to kisi aur ka haala nikla
Nazeer Akbarabadi