ho ke betab badal lete the aksar karwaT
ab ye hai zoaf ki qabu se hai bahar karwaT
hijr se baDh ke shab-e-wasl aziyyat hai mujhe
ghair ki yaad dilati hai teri har karwaT
rind bimar raha mohtasib-e-shara se tez
is qadar jald are phenk ke saghar karwaT
chuTkiyan hijr mein leti hai shikan bistar ki
mere pahlu mein chubho deti hai nashtar karwaT
shoKHiyan hain ki bane hijr ki shab wasl ki raat
so rahe pher ke munh aap badal kar karwaT
baiThna un ka nazakat se daba kar sina
phir ye kahna ki na lena tah-e-KHanjar karwaT
teri Thokar se na ulTe kahin wo taKHta-e-qabr
le na KHwabida koi fitna-e-mahshar karwaT
har taraf kanTe bichhe hain shikan bistar ke
hum ko mushkil hai badalna sar-e-bistar karwaT
unhen munh pher ke sone nahin deta hun 'riyaz'
wasl ki raat mujhe kyun na ho dubhar karwaT
Ghazal
Ho ke betab badal lete the aksar karwaT
Riyaz Khairabadi